Monday, September 17, 2012

A Great Qawwali - Mere Dilbar Mujh Par Khafa Na Ho - Jo Yeh Dil Deewana Machal Gaya - Mohd. Rafi and Chorus - Music N Datta - Film Dharmaputra (1961)

Please click below and hear a great Qawwali penned by Sahir Ludhianvi from the Film Dharmaputra (1961) composed by Music Director N. Datta Sung in inimitable style by Mohd Rafi


MERE DILBAR MUJH PAR KHAFA NA HO
KAHIN TERI BHI KUCH KHATA NA HO
JO YE DIL DEEWANA MACHAL GAYA

Full Lyrics Below the Song





A Great Qawali - Mere Dilbar Mujh Par Khafa Na Ho - Jo Yeh Dil Deewana Machal Gaya - Mohd. Rafi and Chorus - Music N Datta - Film Dharmaputra 1961

Mere dilbar mujh par khafa na ho
ho mere dilbar mujh par khafa na ho
kahin teri bhi kuchh khata na ho
jo ye dil deewaana
jo ye dil deewaana machal gayaa
jo ye dil deewaana machal gayaa
jo ye dil deewaana machal gayaa
mere dilbar mujh par khafa na ho
mere dilbar mujh par khafa na ho
kahin teri bhi kuchh khata na ho
jo ye dil deewaana
jo ye dil deewaana machal gayaa
jo ye dil deewaana machal gayaa
jo kisi ke rokey ruka na ho
kisi sang-e-dar pe jhuka na ho
tere dar pe kaise phisal gayaa
jo ye dil deewana machal gayaa
jo ye dil deewana machal gayaa

ye nazar mein masti ghuli ghuli
ye sunehri rangat dhuli dhuli
ye nazar mein masti ghuli ghuli
ye sunehri rangat dhuli dhuli
ye ghaneri zulfen khuli khuli
ye ghaneri zulfen khuli khuli
jo zamaane bhar ka guroor hai
jo nasha hai jo bhi suroor hai
wo tere shabaab mein dhal gayaa
jo ye dil deewaana machal gayaa
jo ye dil deewaana machal gayaa
mere dilbar mujh par khafa na ho
kahin teri bhi kuchh khata na ho
jo ye dil deewaana
jo ye dil deewaana machal gayaa
jo ye dil deewaana machal gayaa

kahoon kyun ke duniya raqeeb hai
mera apna dil hi ajeeb hai
kahoon kyun ke duniya raqeeb hai
mera apna dil hi ajeeb hai
na ye dushman hai na habeeb hai
na ye dushman hai na habeeb hai
main kabhi na isko samajh sakaa
kabhi apnon se bhi hua khafaa
kabhi begaanon se behel gayaa
jo ye dil deewaana machal gayaa
jo ye dil deewaana machal gayaa
mere dilbar mujh par khafa na ho
kahin teri bhi kuchh khata na ho
jo ye dil deewaana
jo ye dil deewaana machal gayaa
jo ye dil deewaana machal gayaa

mere dil ki jaanib nigaah kar
o mujhe yunh na ghum se tabaah kar
mere dil ki jaanib nigaah kar
mujhe yunh na ghum se tabaah kar
kabhi bhoole se hi nibaah kar
kabhi bhoole se hi nibaah kar
zara soch ke duniya kahegi kya
teri ruswaayi bach rahegi kya
jo deewaana ghar se nikal gayaa
jo ye dil deewaana machal gayaa
jo ye dil deewaana machal gayaa
o mere dilbar mujh par khafa na ho
kahin teri bhi kuchh khata na ho
jo ye dil deewaana
jo ye dil deewaana machal gayaa
jo ye dil deewaana machal gayaa
jo kisi ke roke ruka na ho
kisi sang-e-dar pe jhuka na ho
tere dar pe kaise phisal gayaa
jo ye dil deewana machal gayaa
jo ye dil deewana machal gayaa

KEEP HUMMING THIS DELIGHTFUL SONG AND HAVE A NICE DAY

No comments: